Posts

HADEES KI QISMEIN (TYPES OF HADITH)

HADEES E QUDSI :: Hadees e Qudsi mein Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Allah Subhanahu wa Ta'ala se naqal karte hain yani sanad Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam par khatm nahi hoti balki us se aage Allah Subhanahu wa Ta'ala tak pahunchti hai jabki doosri Ahadees mein sanad Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam tak pahunchti hai. Is mein koi shak nahi hai ke Hadees e Qudsi ho ya doosri Ahadees, sab Allah hi ki taraf se hain aur sab hujjat hoti hain (Agar sahih hon to). 🔽 SAHIH : Sahih hadith ke liye in sharton ka hona laazmi hai 1- iske bayan karne waale “aadil” yani uska charactor bharose ke qaabil ho 2- unka dimaagi taqat ho, ya phir jo kah rahe ho wah likha huwa hon 3- uski sanad mutassil ho, yani har raawi (bayan karne waala) ne wah hadith apne ustaad se khud suni ho 4- usme koi ‘shaaz’ baat na batayi gayi ho 5- usme kisi ki tarah ki koi ‘illat’ na Paayi jaati ho. 🔽 HASAN : yah wah hadith hai jisme sahih hadith ki saari shartein paa...

WUDHU KE BAAD KI DUA

 Wudu ke baad ki dua:: 1. Rasool Allah Sallallahu Alaehi Wa Sallam ne farmaya: Jo Shakhs pura wudu kare aur phir kahe "A'ash-hadu-an La ilaha illallahu wah dahu La shareeka Lahu, wa a'ash-hadu a'anna Muhammadan a'abduhu wa rasuluhu" (Main gawahi deta hun ki Allah ke siwa koi saccha ma'abood nahi. Wah akela hai uska koi shareek nahi aur main gawahi deta hun ki Muhammad Sallallahu Alaehi Wa Sallam Allah ke bandey aur Rasool hain." To uske liye jannat ke aatho(8) darwazey khol diye jaatey hain. Jisse chahe daakhil ho. [Sahih Muslim, Hadith: 234] 2. Wudu ke baad yeh bhi dua padhe: Subhanaka-llah-humma wabi hamdika a'ash-hadu-a'an La ilaha illa a'anta a'astagfiruka wa'atubu ilayika (Aye Allah! Tu apni sabhi tareefo ke sath (har burayi se) paak hai. Main gawahi deta hun ki tere siwa koi saccha ma'abood nahi hai. Main tujhse ma'afi maangta hun aur tere saamne tauba karta hun." [Sunan Nasai, ise Imam Hakim...